Roman script

duniya banane wale yahi hain meri iltiza

ki ho na kabhi apne juda

duniya banane wale yahi hain meri iltiza

ki ho na kabhi apne juda

ghar ke jo ujale hain bachana unhe

jake apne sine se lagana unhe

tu bhi unka sathi hain batana unhe

jaldi wo aaye apne lute ghar basaye

yahi dil se nikle sada

ki ho na kabhi apne juda

pahna hain andhero ka jami ne kafan

suni suni duniya hain sahma sa chaman

kaante chhune na paye phulo ka badan

tere hawale baharo ke pale

dukhi dil ki ye hain dua

ki ho na kabhi apne juda

duniya banane wale yahi hain meri iltiza

Explore this song