Roman script

dosto se

dosto se jhuti muti dusro ka naam leke, phir meri baate karna

yaara raat se din karna

lambi judaai teri bada mushkil hai, aaho se dil bharna

yaara raat se din karna

kab ye puri hogi, dur ye duri hogi

kab ye puri hogi, dur ye duri hogi, roj safar karna

yaara raat se din karna

chupke se, chupke se raat ki chaadar tale

chaand ki bhi aahat naa ho, baadal ke pichhe chale

jale katra katra, gale katra katra

raat bhi naa hile aadhi aadhi

raat bhi naa hile aadhi aadhi ye

chupke se lag ja gale, raat ki chadar tale

farvari ki sardiyo ki dhup me, mundimundi ankhiyo se dekhna 

haath ki aad se niminimi thand aur aag me

haule haule marva ke raag me, mir ki baat ho

din bhi na dube raat naa aaye, shaam kabhi naa dhale

shaam dhale to subah na aaye, raat hi raat chale

chupke se, chupke se raat ki chaadar tale

chaand ki bhi aahat naa ho, baadal ke pichhe chale

dosto se jhuti muti dusro ka naam leke, phir meri baate karna

yaara raat se din karna

lambi judaai teri bada mushkil hai, aaho se dil bharna

yaara raat se din karna

kab ye puri hogi, dur ye duri hogi

kab ye puri hogi, dur ye duri hogi, roj safar karna

yaara raat se din karna

tujh bina pagli ye purvai

tujh bina pagli ye purvai, aake meri chunari me bhar gayi

tu kabhi aise hi, gale lag jaise ye purvai

aa gale lag jaise ye purvai

saathiya sun tu

kal jo mujhko nind naa aaye, paas bula lena

god me apni sar rakh lena, lori suna dena

chupke se, chupke se raat ki chaadar tale

chaand ki bhi aahat naa ho, baadal ke pichhe chale

Explore this song