Roman script

duriya nazdikiya ban gayi ajab itfaq hai

kah dali kitni bate ankahi ajab itfaq hai 

aise mili do nigahe milti hai jaise do rahe

jagi ye ulfat purani gane lagi hai fizaye

pyar ki shahnaiya baj gayi ajab itfaq hai

duriya nazdikiya ban gayi ajab itfaq hai

kah dali kitni bate ankahi ajab itfaq hai

ek dagar pe mile hai hum tum do humsaye 

aisa laga tumse milkar din bachpan ke aaye

vadiya ummid ki saj gayi ajab itfaq hai

duriya nazdikiya ban gayi ajab itfaq hai

kah dali kitni bate ankahi ajab itfaq hai

pahle kabhi ajnabi the ab to meri zindagi ho

sapno me dekha tha jisko sathi purane tum hi ho

bastiya arman ki bas gayi ajab itfaq hai

duriya nazdikiya ban gayi ajab itfaq hai

kah dali kitni bate ankahi ajab itfaq hai

duriya nazdikiya ban gayi ajab itfaq hai

Explore this song