Roman script

dur papiha bola raat aadhi rah gayi 

meri tumhaari mulaaqaat baaqi rah gayi 

dur papiha bola raat aadhi rah gayi 

meri tumhaari mulaaqaat baaqi rah gayi   

mera dil hai udaas jiya mand-mand hai 

mera dil hai udaas jiya mand-mand hai 

baadalo ke ghere me chaand nazar-band hai 

baadalo ke ghere me chaand nazar-band hai 

baadal aaye par barasaat baaqi rah gayi 

baadal aaye par barasaat baaqi rah gayi 

meri tumhaari mulaaqaat baaqi rah gayi 

dur papiha bola 

aankh michauli kheli, jhula jhum ke jhule 

aankh michauli kheli, jhula jhum ke jhule 

ban me chameli phuli ham bahaar me bhule 

ham bahaar me bhule 

par deni thi jo saugaat baaqi rah gayi 

par deni thi jo saugaat baaqi rah gayi 

meri tumhaari mulaaqaat baaqi rah gayi 

dur papiha bola raat aadhi rah gayi 

meri tumhaari mulaaqaat baaqi rah gayi   

dur papiha bola

Explore this song