Roman script

dur dur dur kahi manjhi pukara kismat ka khel hai sara

konsi naiya ko mile konsa kinara kismat ka khel hai sara 

dur kahi manjhi pukara kismat ka khel hai sara

koi jatan or nahi, koi jatan or nahi

koi mojo pe jor nahi jor nahi

bas me kisi ke nahi jiwan dhara kismat ka khel hai sara 

dur kahi manjhi pukara kismat ka khel hai sara  

mitti nahi hai hath ki lakire jinme likhi hai takdire

mitti nahi hath ki lakire jinme likhi hai takdire

sara jamana takdiro ka hai mara kismat ka khel hai sara 

dur kahi manjhi pukara kismat ka khel hai sara

maidan mar liye sare jeet liye isne chand tare

maidan mar liye sare jeet liye isne chand tare

apne mukaddar se insan hara kismat ka khel hai sara

dur kahi manjhi pukara kismat ka khel hai sara

konsi naiya ko mile konsa kinara kismat ka khel hai sara

Explore this song