Roman script

do panchhi do tinke kaho le ke chale hai kaha

ye banaayenge ek aashiya, ye banaayenge ek aashiya

ye to apni hi dhun me gaaye unche-unche udte jaaye

inki masti ko aur badhaye saawan ki ye hawaaye

manjil ke matwaale dekho chhune chale aasamaan

manjil ke matwaale dekho chhune chale aasamaan

ye banaayenge ek aashiya, ye banaayenge ek aashiya

ek phulo bhari ho daali aur us par ho basera

kuchh aisa hi mitha-mitha hain sapna tera mera

ye sapna sach hoga kah rahi dhadakno ki jubaan

hum banaayenge ek aashiya, hum banaayenge ek aashiya

hum banaayenge ek aashiya

Explore this song