Roman script

dilo ki kaliya, na khilne paye 

wo baag kya hain, bahar kya hain 

jo har bankar rahe gale me 

wo haar kya hain, shringaar kya hain 

ye mana maine ki ae mukaddar 

mile na mujhse mijaj tere 

ye mana maine ki ae mukaddar 

mile na mujhse mijaj tere 

ye sochana tha 

ye sochana tha, ye dekhna tha 

ki mere dil ki, pukar kya hain 

ae taja dulhan ye jard chehara 

ye sard aahe jhuki nigahe 

ae taja dulhan ye jard chehara 

ye sard aahe jhuki nigahe 

ye sard aahe jhuki nigahe 

bujhi hui si 

bujhi hui si, shama hain dil ki 

ye rang kay hain, gubar kya hain 

mitaye baithe hain harfe kismat

kaha ki khushiya, kaha ki rahat 

mitaye baithe hain harfe kismat

kaha ki khushiya, kaha ki rahat 

na puchho mujhse 

na puchho mujhse, tu ae tamanna 

ki chain kya hain, karar kya hain 

dilo ki kaliya, na khilne paye 

wo baag kya hain, bahar kya hain

Explore this song