Roman script

do anjane ajnabi chale bandhne bandhan 
haay re dil mein hai ye uljhan 
milkar kya bole kya bole 
kya bole re milkar kya bole
nayi umang nayi khushi 
mehak utha hai aangan 
haay re ghar aaye man bhavan
milkar kya bole kya bole 
kya bole re milkar kya bole
bechaini betabi aaj mujhe ye kaisi
aaj hai jo pehle na thi 
dil ki haalat aisi
aankho ko usika intjar hai
unhi ke liye ye roop shringar hai
dekhi hai tasvir hi aaj milenge darshan
haay re badhne lagi hai uljhan
milkar kya bole kya bole 
kya bole re milkar kya bole
roop ki raani aayi hai 
jaise gagan se utar ke
mere liye kya mere liye 
aise sajke savar ke
sabse chupaake idhar udhar se 
mujhko hi dekhe chor najar se
baat labo par hai ruki 
tej dilo ki dhadkan
haay re kal ke sajani saajan
milkar kya bole kya bole 
kya bole re milkar kya bole
lyrics typed by: neha gupta

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Shreya Ghoshal, Udit Narayan

actor: Shahid Kapoor, Amrita Rao