Roman script

deewano ko pata hai ye ishq to nasha hai

milti hai bechaini isme, din katta na mere yaar

tere bina ek pal na rahna 

kahta hai dil baar baar

tu hai meri aakhri tamanna 

tu hai mera pahla pyaar

deewano ko pata hai

ek madhoshi shaam-o-shahar hai 

teri mohabbat ka ye asar hai

yaad teri aati hai tanhaayi gaati hai 

ye bekhudi koi jaane na

tere bina ek pal na rahna 

kahta hai dil baar baar

tu hai meri aakhri tamanna 

tu hai mera pahla pyaar

deewano ko pata hai

khushbu teri hai in saanso mein 

sapne tere hai in aankhon mein

rang tera chalka hai 

hosh nahin kal ka hai

maane koi chaahe maane na

tere bina ek pal na rahna 

kahta hai dil baar baar

tu hai meri aakhri tamanna 

tu hai mera pahla pyaar

deewano ko pata hai ye ishq to nasha hai

milti hai bechaini isme, din katta na mere yaar

tere bina ek pal na rahna 

kahta hai dil baar baar

tu hai meri aakhri tamanna 

tu hai mera pahla pyaar

deewano ko pata hai

Explore this song