Roman script

diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai

sajan ghar aane waale hai

balam ghar aane waale hai  -2

jhum-jhum kar diye ki baati

mere dil ko kare ishaaraa  -2

jaan ga_i mai aane waalaa

hai teraa saajan pyaaraa  -2

diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai

sajan ghar aane waale hai

balam ghar aane waale hai

jin galiyo se aaye balamawaa

un galiyo me nain bichhaa_un

qadam-qadam par aashaa_o ke

dip jalaati jaa_un  -2

diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai

sajan ghar aane waale hai

balam ghar aane waale hai

aaj raat aankho-aankho me

kah dungi sab dil ki baate  -2

roz-roz kab aati hai ye

madur milan ki raate  -2

diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai

sajan ghar aane waale hai

balam ghar aane waale hai  -2

Explore this song