Roman script

din control ke aye kaise ghar ko chalaye 

koi kab tak musibat uthaye

ho koi kab tak musibat uthaye

din control ke aye kaise ghar ko chalaye 

koi kab tak musibat uthaye

ho koi kab tak musibat uthaye

mera chullah bada baidardi

ise lagti hai hardam sardi

gili gili hai gili gili hai sari lakadiya

footi jaye hai dhue se ankhiya

bahar nandi ka bhaiya machaye haye haye

bhukha pyasa hi daftar ko jaye

ho koi kab tak musibat uthaye

gawalaniya ari gawalaniya

gawalaniya tu bata dudh me 

kitna pani dala ari kitna pani dala

chupke chupke dudh bilokar  

makhan sabhi nikala are makhan sabhi nikala

ab pina hoga dudh samajh kar 

pani tankiwala pani tankiwala

malaniya de kachi kakadiya

o malaniya de kachi kakadiya

matar tamatar pyaj de de ri malaniya

de jaldi malaniya bas itne se dekh ri

han han teen ane me mil jate the

teen sher tarkari ab to teen rupaiyo me bhi 

rehti daliya khali chal ri chameli bas bhi aa gai 

jagah nahi jagah nahi itni lambi chodi duniya

itni lambi chodi duniya fir bhi isme jagah nahi

house full hai jagah nahi jagah nahi

tram bus or train ka conductor kahta jagah nahi

conductor kahta jagah nahi

jaa jaa ja aa makan kya 

kamre ki khatir owner kahta jagah nahi

house full hai jagah nahi jagah nahi

ab to school or college me bhi 

teacher kahta jagah nahi

han teacher kahta jagah nahi

bimaro ko hospital me docter kahta jagah nahi

house full hai jagah nahi jagah nahi

itni lambi chodi duniya  fir bhi isme jagah nahi

house full hai jagah nahi jagah nahi

hotel me jo ghus jaye to waiter kahta jagah nahi

haye jail jana ho to bhi  jailer kahta jagah nahi

hum to narak chale jaye

par ishwar kehta jagah nahi

itni lambi chodi duniya haye fir bhi isme jagah nahi

house full hai jagah nahi jagah nahi

bade adami kehte sare ab ache din aa gaye

hum to dhundh dhundh kar hare 

kab ache din aa gaye

itni lambi chodi duniya

itni lambi chodi duniya

fir bhi isme jagah nahi

house full hai jagah nahi

jagah nahi jagah nahi

Explore this song