Roman script

kyu raato ko main ab chain se so na saku

kyu aata nahi mujhe din me bhi chain o suku

kyu aisa hota hai main khud se hi baate karu

kyu tu jo bole koi sune na wo main hi sunu

dil ye bekarar kyu hai, ispe dhun sawaar kyu hai

kyu hai ye khumaar kyu hai tu bata

tera intezaar kyu hai, tujhpe aitbaar kyu hai

kyu hai ye khumaar kyu hai tu bata, tu bata, tu bata

kyu tujhe dekhe bina aata nahi dil ko sabar

kyu tere chehre se hatati nahi ye nazar

kyu tujhe paake mujhe rehta hai khone ka darr

kyu tere siva sari duniya se hu main bekhabar

dil ye bekarar kyu hai, ispe dhun sawaar kyu hai

kyu hai ye khumaar kyu hai tu bata

tera intezaar kyu hai, tujhpe aitbaar kyu hai

kyu hai ye khumaar kyu hai tu bata, tu bata, tu bata

ye pyaar hai jo tujhe ho gaya hai

na jaane kyu tu isse tha bekhabar

jo aaj kal yeh tujhe ho raha hai

nahi aur kuch, pyaar ka hai asar

kyu tere jalwo ka chhatata nahi hai dhuaa

kyu chale hawa toh lage ki jaise tune chhua

kyu maangta hai dil tere liye roz duaa

kyu ho raha jo woh pehle mujhe na hua

dil ye bekarar kyu hai, ispe dhun sawaar kyu hai

kyu hai ye khumaar kyu hai tu bata

tera intezaar kyu hai, tujhpe aitbaar kyu hai

kyu hai ye khumaar kyu hai tu bata, tu bata, tu bata

Explore this song