Roman script

ae dil kisi ki yaad me

hota hai bekraar kyu

jisne bhula diya tujhe

uska hai intezaar kyu

vo na milega ab tujhe

jiski tujhe taalash hai

raaho me aaj be-kafan

teri wafa ki laash hai

ye to jara bata mujhe

tune kiya tha pyaar kyu

ae dil kisi ki yaad me

hota hai bekraar kyu

aansu jo hai ruke hue

hans ke inhe baha bhi de

jitne hai daag pyaar ke

ro kar inhe mita bhi de

tune hai fir bana diya

gam ko gale ka haar kyu

ae dil kisi ki yaad me

hota hai bekraar kyu

aayegi tujhme roshani 

ab na kisi ke naam se

tu vo deeya hai mere dil

jo ki bujha ho shaam se

futegi fir koi kiran

tujhko hai etbaar kyu

ae dil kisi ki yaad me

hota hai bekraar kyu

jisne bhula diya tujhe

uska hai intezaar kyu

Explore this song