Roman script

dil se majbur gulamo ki ye nikli aawaz

khul gaya aaj se insan ki taqdeer ka raaz

ek hi sak me khade ho gaye mehmudo ayaz

na koi banda raha aur na koi banda nawaz

aankho ko ye allah ka jalwa najar aaya

raaho me fakiro ko gale aaj lagaya

aankho ko ye allah ka jalwa najar aaya

raaho me fakiro ko gale aaj lagaya

dil jhum utha aaj garibo ka khushi se

shikwa hai kisi ka na, na shikayat hai kisi se

sab ek huye waah teri shan khudaya

raaho me fakiro ko gale aaj lagaya

insa ki juba par na raha gham ka satana

gunja hai fizao me mohabbat ka tarana

manzil ka naya raasta kismat ne dikhaya

raaho me fakiro ko gale aaj lagaya

aa jaao badal daale ye raftar zamana

ab aur chalega na ye dastur purana

utho meri duniya ke garibo ko jaga do

dilshah ka insaaf kinaro se hila do

jis khet ke majduro ko milti nahi roti

us khet ke har daane ko tum aag laga do

aag laga do, aag laga do, aag laga do

Explore this song