Roman script

dil hai nishana naino ke tir ka 

war bachana ji naino ke tir ka 

thokar na khana babau ji o bhole bhale 

dil ko bachana babu ji o dil wale

dil hai nishana naino ke tir ka 

war bachana ji naino ke tir ka 

dil ki lagi ka sun afasana

shamma ki lau par hai parwana

chhed nazar se koi tarana 

pyar me de de dil nazrana

mausam suhana babu ji o bhole bhale 

range zaman babu ji o dil wale 

dil hai nishana naino ke tir ka 

war bachana ji naino ke tir ka

pyar bhara dil aur ye jawani 

ek hai raja ek hai rani

dono ki hai ek kahani 

ye bhi diwana vo bhi diwani 

hosh me aana babu ji o bhole bhale

fir na pachtana babu ji o dil wale

dil hai nishana naino ke tir ka 

war bachana ji naino ke tir ka 

nayi bahare naye nazare 

kitne hasi hai kitne pyare 

chhod na dena dil ke sahare 

hum hai tumhare tum ho humare 

dil hai diwana babu ji o bhole bhale 

isko samjhana babu ji o dil wale

dil hai nishana naino ke tir ka 

war bachana ji naino ke tir ka 

thokar na khana babau ji o bhole bhale 

dil ko bachana babu ji o dil wale

dil hai nishana naino ke tir ka 

war bachana ji naino ke tir ka

Explore this song