Roman script

dil bhi mit jaye to ulfat dil se jane ki nahi 
jindgi teri amanat hai jamane ki nahi 
rate jaga ke sapne saja ke 
kaliya chuni hai tere haar ke liye 
ho baithe bithaye hamne to duniya luta di tere pyar ke liye
rate jaga ke sapne saja ke 
kaliya chuni hai tere haar ke liye 
jabse mila hai tera sahara chamka hai mere dil ka sitara 
tu jo bhi de vo hamko gwara 
khushiya bhi pyari gam bhi hai pyara
ho chahe bana de chahe mita de 
hum hai nishana tere var ke liye
ho rate jaga ke sapne saja ke 
kaliya chuni hai tere haar ke liye 
o sidhe sadhe o bhole bhale mera jaha hai tere hawale 
tu jispe jadu najaro ka dale sambhalega dil vo sambhale
sari umange sari tarange machli hui hai sarkar ke liye
ho rate jaga ke sapne saja ke 
kaliya chuni hai tere haar ke liye 
jab se mili hai tujhse nigahe 
mahki hui hai mere sapno ki rahe 
le le duaye de de panahe bas me nahi hai betab bahe 
haye dil bhi hai tera jaan bhi hai teri 
dono bane dildar ke liye 
ho rate jaga ke sapne saja ke 
kaliya chuni hai tere haar ke liye 
ho baithe bithaye hamne to duniya luta di tere pyar ke liye
ho rate jaga ke

Song details

Song video

Watch on YouTube