Roman script

barso se jo band pade hai

dhool bhare darwaje kholo

taqdeero ki gum hai chabiya

jang lage sab taale todo

dhup bane hum chanw bane hum

mile nayi pahchan pankh naye hai

naya aasmaan ab hai nayi udaan

sanso par jo gard jami hai

phunk maar kar aaj uda do

aankho ne sapne jo dekhe

un sapno ko aur hawa do

khwab haqeekat ban jaayega

man mein le bas thaan

dhoop bane hum chanw bane hum

mile nayi pahchan pankh naye hai

naya aashmaan ab hai nayi udaan

sabkuch lagta rang biranga

sabkuch hai badla badla sa

masumo ki aankho mein hai

ek lamha thehra thehra sa

is lamhe ne dedi hans kar 

ek nayi pahchan

dhup bane hum chanw bane hum

mile nayi pahchan pankh naye hai

naya aasmaan ab hai nayi udaan

Explore this song