Roman script

Na raha kahin

Yaadon ka karvaan

Bik chuka yunhi

Hone ka har nishaan

Kyun bhooli inhe zameen

Kyun bhoola ye aasmaan

Na jaane ye kho gaye kahaan

Rang khwabon ke jinke khoon se range

Raste naye, junoon se bane

Kyun bhooli inhe zameen

Kyun bhoola ye aasmaan

Na jaane ye kho gaye kahaan

Sitare bhi jinko na de sake panaah

Kahaani ye unki jinhe bhoole do jahaan

Humne kar diya jinhe dhuaan

Maangna nahin bas dena hai jinki zubaan

Loot kar jinhe humne baandha hai ye samaa

Jo bhooli inhein zameen

Jo bhoola ye aasmaan

Na kehlayenge hum insaan

Sitare bhi jinko na de sake panaah

Kahani ye unki jinhein bhoole do jahaan

Humne kar diya jinhein dhuaan (x2)

Kyun humne kar diya unhein dhuaan

Kyun humne kar diya…

Explore this song