Roman script

dhoondta hai man mera

yaar wo sathi sakha

mujhe bin kahe jo yeh bol de

tujhe fiqr kya, main hoon khada

ho dhoondta hai man mera

mera shehar ho ya ganv ho

mehfooz dhoop aur chhanv ho

badal hate ye zulm ke

wahan aisa pehredar ho

zindagi ka rasta dar ke rang na ho ranga

waar mujh par jo koi kare

ik hath ho aage badha

dhoondta hai man mera

yaar wo sathi sakha

mujhe bin kahe jo yeh bol de

tujhe fiqr kya, main hoon khada

ho dhoondhta hai man mera

aye dost mere soch tu

dar se hai kab kahan dil jude

zameen sani ho khauf se

tab ugti hai sirf nafratein

meethi hongi boliyan

badlega jab man tera

chhat jayengi udasiyan

khushiyon se hoga dil bhara

dhoondta hai man mera

yaar wo sathi sakha

mujhe bin kahe jo yeh bol de

tujhe fiqr kya, main hoon khada

ho dhundta hai man mera

Explore this song