Roman script
dhol bajne laga, ganv sajne laga, koi laut ke aaya hai sang apne vo rang kitne laaya hai dhol bajne laga, ganv sajne laga, koi laut ke aaya hai sang apne vo rang kitne laaya hai aaya re hamra mitva, ham jhum jhum gaye naache re hamra manva, ham jhum jhum gaye aanevaale na ab jaana kabhi chhod ke padte ham paiya kabhi haath kabhi jod ke aanevaale na ab jaana kabhi chhod ke padte ham paiya kabhi haath kabhi jod ke jaane na dege ham, ab dil tod ke apna kunvar aaya, rajeshvar aaya sang apne vo rang kitne laaya hai aaya re hamra mitva, ham jhum jhum gaye naache re hamra manva, ham jhum jhum gaye dhol bajne laga, ganv sajne laga, koi laut ke aaya hai muhabbat se bhara, ek dil hai jaise mere bachpan ka saathi, mera ganv bahut mitha hai paani, is kuye ka badi thandi hai in, pedo ki chaav khula sangit hai, jaise hava me zara aavaaz to sun, chakkiyo ki rahet ghata hai, bhini bhini lay me surili boliya hai, panchhiyo ki main barso baad lauta hu to jaana, ye gaav, git hai, sadiyo puraana dhol bajne laga, ganv sajne laga, koi laut ke aaya hai sang apne vo rang kitne laaya hai aaya re hamra mitva, ham jhum jhum gaye naache re hamra manva, ham jhum jhum gaye dhol bajne laga, ganv sajne laga, koi laut ke aaya hai
Song details
- Singer: Kavita Krishnamurthy
- Singer: Udit Narayan
- Film / album: Virasat (1997)
- Composer: Anu Malik
- Lyricist: Javed Akhtar
- Actor: Anil Kapoor
- Actor: Tabu
- Actor: Pooja Batra
- Actor: Milind Gunaji
- Actor: Govind Namdeo
- Actor: Amrish Puri
- Actor: Sulbha Deshpande
- Actor: Neeraj Vora
- Actor: Satyen Kappu
- Actor: Reeta Bhaduri
- Actor: Dilip Dhawan
- Actor: Tiku Talsania
Song video
singer: Kavita Krishnamurthy, Udit Narayan
actor: Anil Kapoor, Tabu, Amrish Puri, Pooja Batra