Roman script

dhime kadamo se chalata hai ye kal mera 

khinche har pal kare pareshan

aandhiyo se gujarta hai pal mera 

bandhe har pal kare pareshan

naino mein chhupe the sitare 

nahi dikhate ye ab hai kaha

khali hai nadi ke kinare 

chalta pani disha le jati jaha

khabo ko pighlata hai jo

yado ko sahlata hai 

kono mein jam jata hai ye 

shisho mein bah jata hai

ret se hai fislata ye kal mera

khinche har pal kare pareshan

barisho se hai sukha ye kal mera

bandhe mujhko kare pareshan

galiyo mein chamakate najare

rahate the ye ab hai kaha

patjhad yado ko sware

bahata jharna nahi hai majhi mera

khabo ko pighlata hai jo

yado ko sahlata hai 

kono mein jam jata hai ye 

shisho mein bah jata hai

Explore this song