Roman script

dhani chunari pahan

dhani chunari pahan, sajke banke dulhan

jaungi unke ghar, jinse laagi lagan

aayenge jab sajan, aayenge jab sajan

jeetne mera man

kuch na bolungi mai, mukh na kholungi mai 

baj uthegi hare kanch ki chudiya 

ye kahengi hare kanch ki chudiya 

kanch ki chudiya, kanch ki chudiya  

chute mata pita

chute mata pita, chhute vo balapan

kheli mai jiske sang, pure solah savan

deke tan aur man 

deke tan aur man, mai manau sajan

teri baaho me ho, mera jivan maran

ye kahengi hare kanch ki chudiya 

vada legi hare kanch ki chudiya

kanch ki chudiya, kanch ki chudiya  

do salone vachan

do salone vachan, tumko meri qasam

ye qasam pyar ki, ye rasam pyaar ki

ab nibhana sajan 

ab nibhana sajan, mat bhulana sajan

jao parades to, jaldi aana sajan

vada legi hare kanch ki chudiya

fir kahengi hare kanch ki chudiya 

baj uthegi hare kanch ki chudiya 

kanch ki chudiya, kanch ki chudiya

Explore this song