Roman script

jagegi rat bhar, aur bhagegi sath par 

par dalegi belagam khayalo ko

puchhegi ye sawal aur mangegi ye hisab 

naa sunegi tere in jawabo ko

yaha hai ek nadi aur wahan ek laal kila

par kaha hain is shehar kaa falsafa

yaha aansu aur geet

aur javani bhi maine tere naam kiya 

par aadhi raat, aur sadke thi sab mere baad

wahan mai tha, tu thi, aur thi dilli bas

kahi koyi ud raha hain, kahi koyi gir raha hain

kahi koyi hain khada kagaar pe

kahi koyi khele juaa

aur kahi koyi bane gulam

aur kahi koyi hain pada intzar me

jab gaya kal mai kutubminar

aur suna tha maine ailan ki

bani hai yaha ek nayi party 

aawara hai naam, bhatkana jiska vidhaan hai

fursat hai kam

kuchh dhundla sa apna nishan hai

wahan mai tha, tu thi, aur thi dilli bas

dekhe yaha kayi, mausam badlate huye

dekhe jazbe kayi, yaha patthar bante huye

kayi wakt se pehle, sab aaj tu keh le

yaha aansu aur geet

aur javani bhi maine tere naam kiya 

par aadhi raat, aur sadke thi sab mere baad

wahan mai tha, tu thi, aur thi dilli bas

aawara hai naam, bhatkana jiska vidhaan hai

fursat hai kam

kuchh dhundla sa apna nishan hai

wahan mai tha, tu thi, aur thi dilli bas

Explore this song