Roman script

wapas aayi ganv se gujariya, mile naa isse iske sawariya

laye nahi lali chunariya, milega isse kaun sanwariya

dekho jara dekho kya hai ladki

puchho jara puchho kyon hai bhadaki

dekho jara dekho kya hai ladki 

dekho jara dekho kya hai ladki

puchho jara puchho kyon hai bhadaki

dekho jara dekho kya hai ladki 

kitna akadti hai, kyon sabse ladati hai

lagati hai koyi bala 

dekho jara dekho kya hai ladki

puchho jara puchho kyon hai bhadaki

dekho jara dekho kya hai ladki 

iski adaye katilana, iski nigahe aashiqana

dil pe mere bijali gire, jab lehra ke chalati hai

college me sabko tarsaye, yeh naa kisike hath aaye

yeh hai koyi jwalamukhi, gusse me aag ugalti hai

rang gora gora ang mastana, yeh toh hur hai

chadhti jawani husn ke nashe me, yeh toh chur hai

yaro jara keh do isse, aise naa tewar yeh dikhlaye

dekho jara dekho kya hai ladki

puchho jara puchho kyon hai bhadaki

dekho jara dekho kya hai ladki 

iske khayalo ko sajaye, koyi shehjada dhundh laye

gam ki hai yeh mari huyi, isko bana de koyi dulhan

rehati hai jane kyu akeli, lagati hai yeh toh ek paheli

koyi yaha jaye nahi, jane hai iski kya uljhan

ise samjhao koyi toh batao, yeh hai josh me

koyi naa milega akeli hi rahegi, aaye hosh me

aisa naa ho sari umar, yuhi kuwari yeh reh jaye

dekho jara dekho kya hai ladki

puchho jara puchho kyon hai bhadaki

dekho jara dekho kya hai ladki 

kitna akadti hai, kyon sabse ladati hai

lagati hai koyi bala

Explore this song