Roman script

dekha teri mast nigaho me, nasha hai ada hai mohabbat hai

ho aaja tujhe baaho me le lu, main rup ye gazab hai kayamat hai

dhadkane tej ho jane do, pyar me hosh kho jane do

dekha teri mast nigaho me, nasha hai ada hai mohabbat hai

dekha teri masti nigaho me

ye husn aur ye mastiya chhane lagi hai madhoshiya

uff do dilo ke saaj par gane lagi hai khamoshiya

apni julfo ki khushbu uda aur mujhko deewana bana

dekha teri mast nigaho me, nasha hai ada hai mohabbat hai

ho dekha teri masti nigaho me

ruswaiyo se darta hai man achchha nahi deewanapan

tune mujhe kyu chhu liya kap utha mera badan

yu na dekho mujhe o sanam dagmagane lage hai kadam

dekha teri mast nigaho me, shokhi hai gazab ki shararat hai

kaise teri baaho me aau main, rup ye sharam ki amanat hai

pyar yu na jatao sanam, sharm aati hai jao sanam

dekha teri mast nigaho me, shokhi hai gazab ki shararat hai

dekha teri mast nigaho me

sun ye sama kehta hai kya ruswaiyo ka dar bhul ja 

dil ko sanam samjha jara yu na mere najdik aa 

aankh jhukne lagi hai meri sunke ye baate jadubhari 

dekha teri mast nigaho me, nasha hai ada hai mohabbat hai

dekha teri mast nigaho me, shokhi hai gazab ki shararat hai

Explore this song