Roman script

dekha jo pehali baar to bijali si gir gayi 
takrai wo najar mere dil me utar gayi 
dekha jo pehali baar to
dekha jo pehali baar to bijali si gir gayi 
takrai wo najar mere dil me utar gayi 
dekha jo pehali baar to
us mehjawi ke pyar me diwana ho gaya 
duniya ke har khushi se main begana ho gaya
dil ke chaman me pyar ki khushbu bikhar gayi 
dekha jo pehali baar to  
lagta nahi hai dil mera uske siva kahi 
badhati hi ja rahi hai bechainiya meri 
duniya meri jaha thi wahi par thahar gayi 
dekha jo pehali baar to 
hu usaka khayal hai mujhe, usaki hi justju 
bahon me bhar lu use bas itani hai aarju
mil jaye wo to samjhu kisamat sanwar gayi 
dekha jo pehali baar to bijali si gir gayi 
takrai wo najar mere dil me utar gayi

Song details

Song video

Watch on YouTube