Roman script

dekh liya tune gam ka tamasha

aag lage to duniya hi dekhe

dil ki lagi ko koi na jane dekh liya

gam ke bhawar me dil jo khoya

yaad me itna dil ko duboya

dhadak gaya kashti ka kaleja

lage kinare bhi ghabrane

dekh liya tune gam ka tamasha

ab na sata bedardi zamane dekh liya

kar hi gaye wo humse kinara

humne khuda ko lakh pukara

unse hamari baat jo bigdi

bigad gaye bankar ye fasane

dekh liya tune gam ka tamasha

ab na sata bedardi zamane dekh liya

aa hi gaye hai aankh me aansu

chha hi gaye hai gam ke badal

ab na miloge humse bichad kar

ab na miloge kisi bahane se 

dekh liya tune gam ka tamasha

ab na sata bedardi zamane dekh liya

Explore this song