Roman script

Deewangi ab na kam ho

Yeh aashiqi kam na ho

Yeh bekhudi ab na kam ho

Ab yeh khushi kam na ho

Ho..Ab nahi hai dhuaan, khul gaya samaa

Ho gaya hai jawaan ab nasheela samaa

Kal ki woh dastaan

ab na dhoondo yahaan

kal ke beete nishaan

Deewangi ab na kam ho

Yeh aashiqi kam na ho

Kam na ho

Humko manzil mili humko saahil mila

Zindagi me chala pyar ka silsila

Tumne ye kya kaha humne ye kya suna

Phir dhadakane laga jhoom kar ye jiya

Gham ka sooraj dhala, phool man ka khila

Mit gaya faasla ab raha na gila

Deewangi ab na kam ho

Yeh aashiqi kam na ho

Deewangi ab na kam ho

Yeh aashiqi kam na ho

Yeh bekhudi ab na kam ho

Ab yeh khushi kam na ho

Yeh raat ki tanhaiyaan chhayi hai madhoshiyan

Sun lo zara kehti hai kya chupke se khamoshiyan

Tum ho mere humsafar jeevan ke har mod par

Jayenge ab hum kahaan

Daaman tera chhod kar

Deewangi ab na kam ho

Yeh aashiqi kam na ho

Yeh bekhudi ab na kam ho

Ab yeh khushi kam na ho

Explore this song