Roman script

diwangi ab na kam ho, ye aashiqi kam na ho

ye bekhudi ab na kam ho, ab ye khushi kam na ho

ho ab nahi hai dhua, khul gaya sama

ho gaya hai jawaa ab nashila sama

yaad ab na karo kal ki woh dasta

ab na dhoondo yaha kal ke bite nisha

diwangi ab na kam ho, ye aashiqi kam na ho

kam na ho

humko manzil mili humko sahil mila

zindagi me chala pyar ka silsila

tumne ye kya kaha humne ye kya suna

phir dhadakane laga jhoom kar ye jiya

gham ka sooraj dhala, phool man ka khila

mit gaya fasla ab raha na gila

diwangi ab na kam ho, ye aashiqi kam na ho

kam na ho

diwangi ab na kam ho, ye aashiqi kam na ho

ye bekhudi ab na kam ho, ab ye khushi kam na ho

ye raat ki tanhaiya chhayi hai madhoshiya

sun lo zara kehti hai kya chupke se khamoshiya

tum ho mere humsafar jivan ke har mod par

jayenge ab hum kaha daman tera chhod  kar

diwangi ab na kam ho, ye aashiqi kam na ho

ye bekhudi ab na kam ho, ab ye khushi kam na ho

Explore this song