Roman script

sunne walo suno aisa bhi hota hai

dil deta hai jo wo jan bhi khota hai

pyar aisa jo karta hai

kya marke bhi marta hai

aao tum bhi aaj sunlo

dasta hai ye ke ik tha nojawa

jo dil hi dil me

hasina ka tha diwana

wo hasina thi ke jiski

khubsurti ka dunia bhar me tha

mashur afsana

dono ki ye kahani hai

jisko sabhi kahte hai om shanti om

nojawa ki thi aarzu uski thi ye justzu

us hasina me usko mile

ishk ke sare gum kubul

usne na jana ye nadani hai

wo ret ko samjha ke pani hai

kyu aisa tha kisliye tha

ye kahani hai

dasta hai ye ke us dilkash hasina ke

nigaho dil me koi dusra hi tha

bekhabar is bat se us nojawa ke 

khwab ka anzam to hona bura hi tha

tute khwabo ki is dasta ko sabhi

kahte hai om shanti om

sunne walo suno aisa bhi hota hai

koi jitna hase utna hi rota hai

diwani hoke hasina khai kya dhokhe hasina

aao tum bhi aaj sunlo

dasta ye hai ke us masum hasina ne

jise chaha wo tha andar se harjai

sang dil se dil lagake

bewafa ke hath aake

usne ek din maut bhi payi

ik sitam ka fasana hai jisko kabhi

kahte hai om shanti om

kyu koi katil samjhta nahi

ye jurm wo hai jo jhukta nahi

ye nam wo hai jo mitta nahi

rahta hai khuni ke hath par

khun hasina ka jab tha hua

koi waha tha pahuch gaya

lekin use wo bacha na saka

roya tha pyar uski maut par

dasta hai ye ke 

jo pahchanta hai khuni ko

wo nojawa hai laut ke aaya

kah rahi hai jindagi katil samjh le

uske sar pe aa chuka hai maut ka saya

janmo ki karmo ki kahani hai

jise kahte hai om shanti om

kahte hai om shanti om

Explore this song