Roman script

wo jo kabhi sardiyo mein 

dhoop si thi garmiyo mein chanv si

maujeedgi teri kaha gayi

wo patjhad ke mausamo mein

ik haryali jo layi thi

wo barishe kaha chali gayi

ab aankhe meri tujhe dhundha kare

tu mile na agar to ye roya kare

fasle ye kam karu main kisi tarah

dard mein marham banu main kisi tarah

faasley ye kam karoon main kisi tarah

dard mein marham banu main kisi tarah

mere mathe pe silvate jo hai

aake inhe mita do na

aansu mere bhatakte phirte hai

aake inhe panah do na

kuch kami si hai kuch nami si hai

aansuo se bhara hu main

band teri aankhein jabse hai

sanse roke khada hu main

sanse roke khada hu main

dard mein marham banu main kisi tarah

dard mein marham banu main kisi tarah

Explore this song