Roman script

daaman na chhudaa yun dur na kar

rone ke liye majbur na kar

daaman na chhudaa yun dur na kar

rone ke liye majbur na kar

mai kahti rahi vo suntaa rahaa

yun shishaa-e-dil ko chur na kar

majbur na kar, o yun dur na kar

dil dil se bichhadne ka manzar

vo ashko kaa girnaa daaman par

khaamosh nazar thi afsaana

khaamosh nazar thi afsaana

bedard na is par bhi mana

mai kahti rahi vo suntaa rahaa

yun shishaa-e-dil ko chur na kar

majbur na kar, o yun dur na kar

daaman na chhudaa

naino me mere tu aake na ja

armaa mere thukra ke na ja

main tere bina mar jaaungi

main tere bina mar jaaungi

bedard mujhe tadpa ke na ja

mai kahti rahi vo suntaa rahaa

yun shishaa-e-dil ko chur na kar

majbur na kar, o yun dur na kar

daaman na chhudaa

in aankho se aansu bahne de

mujhe dil ki kahani kahne de

ye teri khushi dil de ke na de

ye teri khushi dil de ke na de

kadmo me tere to rahne de

mai kahti rahi vo suntaa rahaa

yun shishaa-e-dil ko chur na kar

majbur na kar, o yun dur na kar

Explore this song