Roman script

chup ham bhi rahe, chup wo bhi rahe 

fariyad jabaa par laaye na kabhi

duniya ne rasta rok liya 

ham ja na sake, wo aa na sake 

ab kaun sune rote huye dil ka fasana 

bedrd jamana bada bedrd jamana 

ab kaun sune rote huye dil ka fasana 

bedrd jamana bada bedrd jamana 

apno se shikayat hain, na gairo se gila hain 

dukh dard ke maro se, khuda tak bhi khafa hain 

takdir me din raat ka, rona hi likha hain 

hansna bhi hain apne liye, rone ka bahana 

bedrd jamana bada bedrd jamana 

kyu hum se khushi chhin li, itna to bata de 

kya hamne khata ki hain, jo tu itani saja de 

isse to ye accha hain, hame zehar pila de 

kab tak banenge julm ke, tiro ka nishana 

bedrd jamana bada bedrd jamana 

ae pyar ke raahi, dekho kudrat ke ishare 

de te hain mohabbat ki gavahi ye sitare 

ham dur sahi dil hain magar paas tumhare 

hoga milan kabhi na kabhi, bhul na jana 

bhul na jana

Explore this song