Roman script

bhej hi dena tha to babul 
pyar diya kyu itna
kahi nahi mamta ka sagar
ma ke aanchal jitna
chhut gayi sakhiya bhar aayi akhiya
chhut gayi sakhiya bhar aayi nakhiya
vinti hai meri kahar ek pal ruk jana
ek pal ruk jana
jitne aansu aaj bahaye 
tune babul ke aangan me 
mai utne hi phul bharunga
sajni tere daman me
sapno ke gav me palko ki chhav me 
chal gori chal us par
kahe ab ruk jana kahe ab ruk jana
hire moti nahi meri chahat
pyar tera sanam mangti hu 
dur karna na kadmo se mujhko
sirf itni kasam mangti hu
chhut gayi sakhiya bhar aayi nakhiya
vinti hai meri kahar ek pal ruk jana
ek pal ruk jana
jab tak hai jivan ki dhara
rahega apna ek kinara
ye bandhan na tut sakega  
sath kabhi na chhut sakega
sapno ke gav me palko ki chhav me 
chal gori chal us par

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi