Roman script

babula hay babula 
babula chhod chali ghar tera 
aaj ki raat mujhe, rahne de babula 
aaj ki raat mujhe, rahne de babula 
fir kabhi hoga na fera 
babula chhod chali ghar tera 
bhaiya roye maa roi, roye jag sara 
bhaiya roye maa roi, roye jag sara 
dastur ye hain beti dhan hai paraya 
maut ki doli meri saj ke aa gayi 
bas na chle koi mera 
babul chhod chali ghar tera 
duniya banane waale, bas itana batade 
duniya banane waale, bas itana batade 
tujhe kya mila hain, meri duniya jalake 
khushiyo ke badle aaho se tune 
likha nasib kyu mera
hay re chhod chali ghar tera 
hay chhod chali ghar tera 
ho chhod chali ghar tera

Song details

Song video

Watch on YouTube