Roman script

chand tu yaha hai aur chand tu waha 

itna bas bata de mujhe man mera kaha

man mera kaha

chand tu yaha hai aur chand tu waha 

hath se nikal gaya hai mera bhola man

aankho me sama gaya hai kiska bholapan

hath se nikal gaya hai mera bhola man

aankho me sama gaya hai kiska bholapan

nind nahi aati mujhe raat hai jawa 

raat hai jawa

chand tu yaha hai aur chand tu waha  

bekali badi hai badi hai kal ki aash bhi

chand mujhse dur chand dil ke paas bhi

bekali badi hai badi hai kal ki aash bhi

chand mujhse dur chand dil ke paas bhi

jaaungi khushi se waha dil gaya jaha

dil gaya jaha

chand tu yaha hai aur chand tu waha 

badlo ki palki me chandani chali

chandani chali

maine abhi dekhi nahi chand ki gali 

chand ki gali 

chand tu kaha mai teri chandani yaha

chandani yaha

chand tu yaha hai aur chand tu waha 

itna bas bata de mujhe man mera kaha

man mera kaha

Explore this song