Roman script

chale pawan ki chal jag me chale pawan ki chal

yahi chalan hai jag seva ka yahi jiwan sukh paal 

chale pawan ki chal 

is nagari ki dagar dagar me lakho hai janjal

is nagari ki dagar dagar me lakho hai janjal

sakhti narmi sardi garmi ek sanche mein daal

ho chale pawan ki chal jag mein

dukh ka nash ho sukh ka palan 

dono bojh sambhal

chubhte kante pis pis jaye phul na ho pamal 

chale pawan ki chal jag mein 

kat na sake ye lamba rasta kate hazaro saal

jaha pehuchane par dam tute hai kaal akal

chale pawan ki chal jag me

Explore this song