Roman script

chalti chakki dekh ke

deeya kabhi na roye

do paatan ke beech me

saabat bacha na koi

kismat banane waale ek baat sunte jana

meri tarah kisi ki kismat na tum banana

kismat banane waale

insa ki jindagi hai 

ek dard ka fasana

insa ki jindagi hai 

ek dard ka fasana

hansne ko chaar ghadiya

rone ko ek zamana

rone ko ek zamana

kismat banane waale ek baat sunte jana

meri tarah kisi ki kismat na tum banana

kismat banane waale

aansu to har jagah hai

moti kahi kahi hai

aansu to har jagah hai

moti kahi kahi hai

gham ki hai sau kahani

khushiyo ka ek bahana

khushiyo ka ek bahana

kismat banane waale ek baat sunte jana

meri tarah kisi ki kismat na tum banana

kismat banane waale

Explore this song