Roman script

chahat ka deewana dil ,ulfat ka parwana dil 

dundh rha hai aaj kisi ki aankhon mai apni manjil 

chahat ka deewana dil ulfat ka parwana dil 

dhundh rha hai aaj kisi ki aankhon mai apni manjil 

masti ki fija mai chhayi or pyar mai dubi rate hai 

khushiyon ke tarane gunj rahe or nagmon ki barsaate hai 

kitni hai rangeen hamare armaano ki ye mahfil 

chahat ka deewana dil ,ulfat ka parwana dil 

dundh rha hai aaj kisi ki aankhon mai apni manjil 

chahat ka deewana dil ulfat ka parwana dil

armaan ki kaliyan khil jaye ye khwab haqiqat ban jaye 

jo dard hai meetha sa dil mai vo dard muhabbat ban jaye 

duniyan ki saari khushiyan ho jaye mujhko hashil 

chahat ka deewana dil ,ulfat ka parwana dil 

dundh rha hai aaj kisi ki aankhon mai apni manjil 

chahat ka deewana dil ulfat ka parwana dil

Explore this song