Roman script

chaandi kaa badan sone ki nazar

us par ye nazaakat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

chaandi kaa badan sone ki nazar

us par ye nazaakat haay nazaakat kyaa kahiye

kis kis pe tumhaare jalwo ne

todi hai qayaamat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

chaandi kaa badan sone ki nazar

gustaakhh zubaan gustaakhh nazar

ye rang-e-tabiyat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

aise bhi kahi is duniyaa me

hoti hai mohabbat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

gustaakhh zubaan gustaakhh nazar

aanchal ki dhanak ke saaye me

ye phul gulaabi chehro ke chehro ke

ye phul gulaabi haaye gulaabi chehro ke

hai gul bhi hai gulshan bhi hai

aur taaro ka jhurmat bhi 

ye phul gulaabi chehro

ye phul gulaabi haaye gulaabi chehro ke

is vaqt hamaari nazro me

kyaa chiz hai jannat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

is vaqt hamaari nazro me

tumse nazare jo mili, din-o-duniyaa se gaye

ik tamnnaa ke sivaa, har tamnnaa se gaye

mast aankho se jo pi, jaam-o-minaa se gaye

zulf laharaai jahaan, ham bhi lahraa se gaye

hure milti hai kise, is ki parvaah se gaye

is ki parvaah se, parvaah se, parvaah se gaye

is vaqt hamaari nazro me

kyaa chiz hai jannat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

chaandi kaa badan sone ki nazar

yun garm nigaahe mat daalo

ye jism pighal bhi pighal bhi sakte hai

ye jism pighal, aa ye jism pighal bhi sakte hai

ye jism pighal bhi haay pighal bhi sakte hai

aadaab-e-nazaaraa bhule ho 

tum logo ki vahshat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

aadaab-e-nazaaraa bhule ho 

tum hame jit sako, is kaa imkaan nahi

khhud ko badnaam kare, ham vo naadan nahi

koi martaa hai mare, ham pe ehsaan nahi

un se kyun baat kare, jin se pahchaan nahi

tum ko armaan hai to hai, ham ko armaan nahi

ham ko armaan ke armaan ke armaan nahi

aadaab-e-nazaaraa bhule ho

aadaab-e-nazaaraa bhule ho

tum logo ki vahshat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

gustaakhh zubaan gustaakhh nazar

jin logo ko tum thukra ke chalo

vo log bhi kismat waale waale hai

vo log bhi kismat waale

vo log bhi kismat waale hai

vo log bhi kismat haay kismat waale hai

tum jin ki tamanna kar baitho

tum jin ki tamanna kar baitho

un log ki kismat kya kahiye

ae ji kyaa kahiye

ye jawani ye ada kyu na magrur ho tum

farsh par utarti hui arsh ki hur ho tum

shokh jawo ki kasam shola-q-tur ho tum

koi dekhe to kahe nashe me chur ho tum

tum jin ki tamanna kar baitho

un log ki kismat kya kahiye

ae ji kyaa kahiye

chaandi kaa badan sone ki nazar

din raat duhaai dete hai

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

jahaan dekhi nai surat machal baithe

jahaan dekhi nai surat machal baithe

haay yahi, yahi, yahi lenge

ye haal hai in divaano kaa divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa divaano kaa

jin ki khhaatir gam sahe aur ro-ro jaan gavaayen

haay ri qismat unhi ke munh se divaane kahlaayen

ke ab ye haal hai in divaano kaa divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa divaano kaa

in aashiqo ke haath hai, ai zindagi bavaal

in kaa kare khyaal ke apnaa kare khyaal

har lab arz-e-shauq to, har aankh hai savaal

har lab arz-e-shauq to, har aankh hai savaal

ye gam se beqraar hai, vo dard se nihaal

arey ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

meri nind gai meraa chain gayaa

vo jo pahle thi taab-o-tabaan gai

yahi rang rahaa yahi dhang rahaa

to ye jaan lo jaan ki jaan gai

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

kisi ko khudkhushi kaa shauq ho to kyaa kare koi

davaa-e-hijr de bimaar ko achhaa kare koi

koi bevajah sar phode to kyo parvaah kare koi

kisi majabur-e-gam kaa haal kyo aisa kare koi

mazaa hai jab ke tum, tum tadapaa karo

tadapaa karo tu, dekhaa kare koi

mare ham aur tum par, ke tum par khun kaa

khun kaa dava, dava kare koi

dava kare koi

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa

ye haal hai in divaano kaa, divaano kaa

jite bhi nahi marte bhi nahi

bechaaro ki haalat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

gustaakhh zubaan gustaakhh nazar

ye rang-e-tabiyat kyaa kahiye

ae ji kyaa kahiye

chaandi kaa badan sone ki nazar

Explore this song