Roman script

zamane ke hazaro gham

simat kar dil me aaye hai  

kisi se dil laga kar

hum badi mushkil me aaye hai

bujh gaya dil ka deeya

to chandani ko kya karu

lut gaya sara chaman to

ek kali ko kya karu

bujh gaya dil ka deeya

jisme ho aansu hi aansu

dukh jaha ho beshumar

jisme ho aansu hi aansu

dukh jaha ho beshumar

jisme phul ko jalane

aaya karti ho bahar

mere maalik leke aisi zindagi ko

kya karu, kya karu

bujh gaya dil ka deeya

to chandani ko kya karu

lut gaya sara chaman to

ek kali ko kya karu

bujh gaya dil ka deeya

kya pata tha, chandni raate

dhuaa ban jayegi

kya pata tha, chandni raate

dhuaa ban jayegi

bhulne wale ki yaade

dil ko yu tadpayegi

bewafa duniya ki is

jhuthi khushi ko kya karu, kya karu

bujh gaya dil ka deeya

to chandani ko kya karu

lut gaya sara chaman to

ek kali ko kya karu

bujh gaya dil ka deeya

laut jaao ae baharo

kyu jalane aayi ho

laut jaao ae baharo

kyu jalane aayi ho

dil ke tute saaz par kyu

gungunane aayi ho

gham ki shahnayi se nikle

raagni ko kya karu, kya karu

bujh gaya dil ka deeya

to chandani ko kya karu

lut gaya sara chaman to

ek kali ko kya karu

bujh gaya dil ka deeya

Explore this song