Roman script

aazadi bhukhmari se aazadi

ha bhed bhaav se aazadi

ha pachhwaad se aazadi

hum leke rahenge aazadi

tum kuch bhi kar lo aazadi aazadi

ho tera pinjra mein jaal ni khana

parindeya ne ud jaana tera pinjra

tera mukk jana sara lana bana

parindeya ne ud jaana tera pinjra

ho tera pinjra mein jaal ni khana

parindeya ne udd jaana tera pinjra

tera mukk jaana sara lana baana

parindeya ne udd jaana tera pinjra freedom freedom

ha bahut baithe chup chap kya ghante ka insaaf

desh kaise hoga saaf inki neeyat mein hai daag

sirf karte rahenge baat alag shakal wohi jaat

vote milne par ye khaas phir gayab poore saal 

ha mera bhai hai to noto ki sarkaar hai na

note se banate apne beto ko ye star hai na

kitne bekaar kyu ye aapas mein jhankar hai na

baaki pura desh dube inki naiya paar hai na

achchi vidya chahiye achcha khaasa maal dena

nal mein paani chahiye khade reh le line mein na

zameen apni par note dikha kar sign lena

drugs laaye ye phir dhakel denge crime mein na

akela insaan phir gaadi teri chaar kyu

ghar mein hai chaar phir rooms tere 8 kyu

paiso se nai bante kudrat se hum khaas kyu

teri peedhi ka soch wo kaise lenge saans kyu

kya shu ek tarfa tarazo

kya shu aa teri hansi mere aansu

kya shu aa ghut ghut ke kyu saans lu

kya shu usse dega kya hisaab tu

ho tera pinjra mein jaal ni khana

parindeya ne udd jaana tera pinjra

tera mukk jaana sara lana baana

parindeya ne udd jaana tera

aa nahi banna mujhe slumdog millionaire

ye slumdog hai mission pe

sidham ke keede chhode inke apne kafan pe

bachpan se chhura rakha hai

inhone apne gardan pe

mastak mein ye likhte galat

seekhte galat chheenkte halak

par kisi ko parwah nahi

ye saitaan hai insaan nahi

dharam ke naam pe kaam nahi

dharam banaya insaan hi

paison ke liye ye tha sabhi

dimaag lada kar jaan ke bhi

dhasne laga tu kaan ka bhi

istemaal kar tu zabaan ka bhi

andekha ka kyu hai jaan ke bhi

andekha ka kyu hai jaan ke bhi

sachai mein tu sama kabhi

achai se tu kama kabhi

is gandh ko karna saaf abhi

is gandh ko karna saaf abhi

is gandh ko karna saaf abhi

kya shu ek tarfa tarazo

kya shu aa teri hansi mere aansu

kya shu aa ghut ghut ke kyu saans lu

kya shu usse dega kya hisaab tu ha

ha ho bolo aazadi bolo aazadi

ho bolo aazadi ho bolo aazadi

ho bolo aazadi give me freedom

Explore this song