Roman script

bheeni bheeni mehki mehki hawaaye

sun lo kya gaaye

dheeme dheeme haule haule 

chalo khwabon ki ye raahein

sang tihaare chalte jaaye

manjil aaye ya na aaye

sang tihaare chalte jaaye

manjil aaye ya na aaye

bheeni bheeni mehki mehki hawaaye 

sun lo kya gaaye

sarsaraaye chhu ke jaaye

behati hawa ko koyi thaam na paaye

is safar mein dukh sukh saare

jindagi ke gathari mein baandhke laaye

khushiya aansu sapne

khoye bichhade apne, humko yaad aaye

bheeni bheeni mehki mehki hawaaye

sun lo kya gaaye

dheeme dheeme haule haule 

chalo khwabon ki ye raahein

man ki gali mein chor chhupa hai

nisdin chaahe hai kya kaise bataaye

hichkichaaye, tadpa jaaye

dil ki baaton ko hontho pe na laaye

dil ki baatein jitni, mauke kehti apni 

tu padh na paaye

bheeni bheeni mehki mehki hawaaye

sun lo kya gaaye

dheeme dheeme haule haule 

chalo khwabon ki ye raahein

sang tihaare chalte jaaye

manjil aaye ya na aaye

sang tihaare chalte jaaye

manjil aaye ya na aaye

bheeni bheeni mehki mehki hawaaye 

sun lo kya gaaye

Explore this song