Roman script

dekho gulo ke lab pe hansi hain 
bhga hain mausam bagiya khili hain 
bhigi palak khushi ka din, ye kya hain boliye ho 
tum jo mile to aaj ham, khushi se ro diye ho 
bhigi palak khushi ka din, ye kya hain boliye 
isko khona usko pana 
is jivan ki reet yahi hain 
saaz raho aabaad raho tum 
ab to hamara geet yahi hain 
sach to ye hain ab mera kya 
kal bhi tanha aaj bhi tanha
accha kiya jo pyar me 
tum kisi ke ho liye ho 
bhigi palak khushi ka din, ye kya hain boliye 
ham to yun hi jinda rahte 
jane kitne din bite hain 
sang sang jine ka vada tha 
isliye ham abtak jite hain 
dekho na hamko aisi nazar se 
ki aa nikle hain ham ye kidhar se 
ham to ye din manayenge, hamko na rokiye ho 
bhigi palak khushi ka din, ye kya hain boliye 
tum jo mile to aaj ham, khsuhi se ro diye

Song details

Song video

Watch on YouTube