Roman script
bhatka hua dil jo tumse mila hai
koi wajah hai - koi wajah hai
khamoshiyon ki apni zuban hai
koi wajaha hai - koi wajah hai
dikhne laga hai rang aasmaani
karwat li fitrat ne hui rummaani
hun main nahi wo jo main kabhi tha
badla hai manzar badli kahaani
bhatka hua dil jo tumse mila hai
koi wajah hai - koi wajah hai
lamhon ko jeena aane laga hai
ishq e safar ye bhaane laga hai
jo raat bechainiyon se bhari thi
naya khwaab usmeinsirhaane laga hai
bhatka hua dil jo tumse mila hai
koi wajah hai - koi wajah hai
Explore this song