Roman script

bhagwan tumne kya kiya 

ye kaun sa badla liya

jisko diya tumne janam 

uska hi jiwan le liya

bhagwan tumne kya kiya 

mana ke tera ab jag sara 

chanda suraj se ujiyara

mana ke tera ab jag sara 

chanda suraj se ujiyara

par jise tumhi ne bujha diya 

tere hi ghar ka tha diya

bhagwan tumne kya kiya

tum khel maran ka yu khelo 

jab umar dhale tab tan lelo

tum khel maran ka yu khelo

jab umar dhale tab tan lelo

par bhole nath kaha tumne

ek bhola bachpan le liya 

bhagwan tumne kya kiya

kahte hai tum rakhwale ho 

kyu mangu dene wale ho

kahte hai tum rakhwale ho 

kyu mangu dene wale ho

par sada charan jo dhoti rahi 

us nari se dhan le liya

bhagwan tumne kya kiya 

bhagwan tumne kya kiya

ye kaun sa badla liya 

jisko diya tumne janam

uska hi jiwan le liya 

bhagwan tumne kya kiya

Explore this song