Roman script

bhagan ke 
bhagan ke rekhan ki bahangiya 
bahangi lachkat jaaye, bahangi lachkat jaaye 
bhagan ke rekhan ki bahangiya 
bahangi lachkat jaaye, bahangi lachkat jaaye 
bhejo re kaahe baba hamka pihar se 
bitiya se banni banke kaha pahuchaye 
saha bhi naa jaaye o ka kare haye
kaha khatir chale re kahriya 
bahangi kaha pahuchaye, bahangi kaha pahuchaye 
bachpan se pale aisan bitiya
kaahe bahiyan ki phul naa jhulaye
khusiyanke ras man me kahe re
baba tumne paratiya liyo bulvaye
kaahe doli banvaye amma madva chhavaye
chale silvayan haldika pis pis jaaye
bhagan ke rekhan ki bahangiya
bahangi lachkat jaaye, bahangi lachkat jaaye
suraj sa chamkega mor mukut pehnega
raja banke chalega banna hamara re
jija ko naa puchhega are phupha ko naa layega
mama ko lutega, chacha khisiyaayega
behano ko thumka lagata layega
kala pila tedha medha banna barati aisa laya re 
ka kari haye kaha chali jaye 
banno saram se mar mar jaye 
banno saram se mar mar jaye 
bhagan ke rekhan ki bahangiya 
bahangi lachkat jaaye, bahangi lachkat jaaye 
sunvas piyar bitiya sunal 
tore nikharat hi nikhar naa jaye
bitiya ke baba se naa puchha re 
madava ke kaisan hola bihan
chale chalenge kahaar mayya asuvan ki dhaar
banni ro roke hui jaaye hai taar taar
bhagan ke rekhan ki bahangiya
bahangi lachkat jaaye, bahangi lachkat jaaye

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Malini Awasthi, Raghubir Yadav

actor: Amyra Dastur, Prateik Babbar