Roman script

bhabhi o bhabhi ye kamre ki chabhi 

bhabhi o bhabhi ye kamre ki chabhi 

bhej rahe hain bhaiya ko, jara sa intjaar kar lo 

chabhi milegi tujhe aise na bhabhi 

chabhi milegi tujhe aise na bhabhi 

pahle dila de neg pichhe bhaiya pe adhikar karna

bhabhi o bhabhi ye kamre ki chabhi 

bhabhi o bhabhi ye kamre ki chabhi 

bhaiya ke pichhe bani kitani diewaani 

bani kitani diewaani 

chhalla anguthi dil de gayi nishani 

dil de gai nishani 

bhaiya ki lekin psand hain anokhi 

bhaiya ki lekin psand hain anokhi 

dhund ke laya baharon ki rani 

bhabhi hamari kesar ki kyaari 

bhabhi hamari kesar ki kyaari 

mehak uda nahi dena haule se bhaiya pyar karna 

bhabhi o bhabhi ye kamre ki chabhi 

bhabhi o bhabhi ye kamre ki chabhi 

saare shahar me hain shor, o bhabhi tera kya kahna 

o jaise patang pichhe dor, bhaiya ke sang sang rahna 

saare shahar me hain shor, o bhabhi tera kya kahna

bhabhi ke paas aise jaane na denge 

tumhe jaane na denge 

saadi bhi lenge ham to gahane bhi lenge 

ha ji gahane bhi lenge 

jhumka dila do ji dila do anguthi 

jhumka dila do ji dila do anguthi 

bhabhi bhaiya ko ham duaaye bhi denge 

ghar me jo aaye koi chanda ka tukda 

ghar me jo aaye koi chanda ka tukda 

bhul na jana hame aisi khushi me hissedaar karna 

bhabhi o bhabhi ye kamre ki chabhi 

bhabhi o bhabhi ye kamre ki chabhi 

bhej rahe hain bhaiya ko, jara sa intjaar kar lo 

bhabhi o bhabhi ye kamre ki chabhi 

ye kamre ki chabhi, ye kamre ki chabhi 

ye kamre ki chabhi

Explore this song