Roman script

benaam si khwahishe, aawaz na mile

bandashi kyun khwaab pe

parwaz na mile

jaane hai par maane dil na

tu na mere liye

bebasi ye pukaar rahi hai

aa saajan mere.

benaam si khwahishe, aawaz na mile

chaand teri roshni, aftaab se hai magar

chaah ke bhi na mile hai, dono ki nazar

aasmaan ye mera jaane, dono kab hain mile 

duriyaan din raat ki hain, tai na ho fasle

benaam si khwahishe, aawaz na mile

patjhad jaaye barkha aaye, ho bahar

mausam badalte rahe

dil ke nagar jo, basi sard hawaen

kyun na jaaye aa ja

aa bhi ja, mausam katte na birah ke

benaam si khwahishe, aawaz na mile

bandashi kyun khwaab pe

parwaz na mile

jaane hai par maane dil na

tu na mere liye

bebasi ye pukaar rahi hai

aa saajan mere.

benaam si khwahishe, aawaz na mile

Explore this song