Roman script

bekhudi ka bada sahara hai

bekhudi ka bada sahara hai varna duniya me kya hamara hai

log marte hai maut aane se

log marte hai maut aane se hamko is zindagi ne maara hai

bekhudi ka bada sahara hai   

aadami kuchh bhi kar nahi sakta

aadami kuchh bhi kar nahi sakta

vaqt aisa guzar nahi sakta, vaqt aisa magar guzaara hai

bekhudi ka bada sahara hai varna duniya me kya hamara hai

bekhudi ka bada sahara hai  

kitni halki hai kitni bojhil hai

kitni halki hai kitni bojhil hai

koyi aurat nahi ye botal hai, band isme jahan saara hai

bekhudi ka bada sahara hai varna duniya me kya hamara hai

bekhudi ka bada sahara hai  

is muqaddar ka ye sitam dekho

is muqaddar ka ye sitam dekho

dubte ja rahe hai ham dekho aur vo samne kinara hai

bekhudi ka bada sahara hai varna duniya me kya hamara hai

log marte hai maut aane se hamko is zindagi ne maara hai

bekhudi ka bada sahara hai

Explore this song